Hadis : gunaah ki wajah se doa qabul nahi hoti aur bande ki pukaar khoda ko pasand hai is liae doaa rad kar deta hai | to keya kisi ki doa qabul nahi hogi ? - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Wednesday, June 21, 2017

Hadis : gunaah ki wajah se doa qabul nahi hoti aur bande ki pukaar khoda ko pasand hai is liae doaa rad kar deta hai | to keya kisi ki doa qabul nahi hogi ?

Sawaal az : mohtaram janab syed Rizwan Razavi s.b


Salaam

Ek sawaal hai


Kehte hai Gunaah Ki Wajah se dua qabool nahi hoti
Gunaah Dua ko qabool hone se rokti hai


Aur dusri traf Kehte hain ye Kuch log Allah ko itne pasand hotey hai Ki Unki Dua Allah Jaldi Qabool Nahi Karta Kyu ki Wo Chahta Hai Ke Wo Baar Baar Usse Maange Use Pukare Wo Allah Ko Pasand Aata Hai.


Phir to koi rasta hi nhi bacha dua qabool hone ka.
Gunaah ki wajah se dua qabool nahi hoti aur gunaah kam karte hai to Allah ke pasandeeda ban jate hai to uski bhi Allah dua jaldi qabool nahi krta ke wo bar bar mujhse maange...


Phir dua qabool kaise ho ?
Ye hai mera sawaal


Jawaab :

علیکم السلام ورحمة الله و برکاتہ


Doa ke baare me tafsili bahas ki zarurat hai lekin sawaal ke peshe nazar jawaab ye hai :

aap ne jin baaton ki taraf aeshaara kiya sahih hai. Amirul Momenin Ali (a.s) farmaate hain : "gunaah doa ke qabul hone me rokaawat hai" aur Imaame Sadiq (a.s) farmaate hain jis ka mafhum ye hai : "jab koei momin doa karta hai to khoda malaa'aekah se farmaata hai is ki doa qabul kar li lekin is ko rok lo ataa na karo is liae ke me pasand karta hun is banda'ae momin ki awaaz sunu (yaani is ki awaaz khoda ke nazdik mahbub hai) aur aiysa banda bhi hai jo doa karta hai aur khoda farmaata hai is ki haajat ko jaldi do is liae ke is ki awaaz mujhe pasand nahi hai"


(osule kaafi jild - 2 page - 489 ketaabud doa)


pehli hadis ke motaabiq rokaawat khud insaan ki taraf se hai khoda ki taraf se nahi. gunaah kiya lehaaza doa qabul nahi hoti is rokaawat ko dur karna bhi insaan hi ke aekhteyaar me hai haqiqi tauba kar le doa qabul hone ka raasta khul jaa'ae ga jis tarah wozu ke beghair namaaz nahi ho sakti ousi tarah tauba ke beghair doa qabul nahi hoti. doa'ae kumail me Maula (a.s) farmaate hain : "baare aelaaha hamaare oun gunaahon ko bakhsh de jo doa ke qabul naa hone ka sabab hain" lehaaza tauba kar le raasta khul jaa'ae ga


dusri hadis ke motaabiq banda'ae momin ki haajat is liae rok leta hai ke is ki awaaz khoda ko pasand hai ous hadis me ye nahi kaha gaya ke haajat wa moraad qabul hogi hi nahi balke taakhir se puri karta hai is ki taraf aap ne khud bhi aeshaara kiya hai lehaaza yahan bhi qabul hone ke liae rasta band nahi hai balke khula hai dusre ye ke taakhir ka aek sabab is ki sada ka mahbub hona hai dusre sabab ki taraf eisi ketaab me page No - 490 par aek hadis me aeshaara hua hai mafhum ye hai "roze qeyaamat khoda apne bande se kahe ga tum ne doa ki lekin ham ne puri karne me taakhir ki is takhir ka ajr wa sawaab ye hai to azim ajar wa sawaab ko dekh kar momin aarzu wa tamanna kare ga ke aiy kaash hamaari koei doa qabul na hoti taa ke aakherat me aiysa azim ajr milta"


Natija :

gunaah gaar aur parhez gaar dono ke liae rasta khula hai kabhi bhi kisi ke liae bhi band nahi hota aayat me hai kuffar wa mushrekin rahmate aelahi se maayus hote hain


is baat par tawajjoh rahe : doa qabul hone ke liae aadaab wa sharaa'aet bhi hain in ke motaabiq doa karen aiysi doa ko qabul karne ka waada khoda ne kiya hai aur doa ka asl matlab abd wa maabud ke darmeyaan raabete ka naam hai


behtar hai nahjul balagha me khat No - 31 sharaa'aete ejabate doa padh len


w.salam

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaar-e-darul itrat Azim abad / patna shob-e-sawaalaat Qum / Iran


28 / جمادی الثانی / 1438 ھ.ق

subscribe us on youtube



.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen