اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
بسم الحی الذی لایموت
یا صاحب الزمان ادرکنا
Aah ! Akhlaaq aur shaa'aeri ke paikar Wali bhai
Kal ye afsosnaak khabar mausool huei ke Hindustan ke eilmi gharaane se ta'alluq rakhne waale, maa’roof wa mumtaaz aalim, Hujjatul Islaam Wal Muslemin Syed Shameem ul Hasan Saheb Qibla (Banaras) ke bhai aur shero sokhan se shaghaf rakhne waale, kohna mashq shaa'aer wa mohaqqiq aur motarjim, Hujjatul Islam Aali Janaab Maulana Syed Wali yul Hasan Saheb (Rahmatullah Alayh) ka inteqaale pur malaal ho gaya.
Is daur me jab shero shaa'aeri ke fanno ousloob aur me’yaari shaa'aeri ki taraf baaz shaa'aeron ki koei khaas tawajjoh nahi ya bahot kam hai, sat'hi wa aameyaana khayaalaat zehno par chhaa'ae huae hain aur is muqaddas fan ko apni kamaaei aur shohrat ka zari'ah bana rakha hai, aiyse me marhoom baaz deeni talaba ke Urdu ash'aar ki islaah karne waale aur behtar rahnuma the.
Shero shaa'aeri ke motakhas'sis samjhe jaate the, is ke mota’alliq masa'ael me talaba oun se roju karte the. Sheri nashiston me oun ki shirkat baa’aese fakhar aur ous nashist ki kaamyaabi samjhi jaati thi.
Agarche marhoom Qum Mosharrafah (Iran) me sokoonat pazeer the, lekin aap ke eilm aur sher ke faiz se Qum Moqaddasa (Iran) ke aelaawah dusre mamaalik ke momenin bhi faiz'yaab hote the.
Sho’araa'ae ghaaween ki tarah na the jo "فِي كُلِّ وَادٍ يَهِيمُونَ" (har bayabaan me bhatakte phirte hain) ke misdaaq hain.
Shaa'aeraana takhay'yulaat me kabhi idhar aur kabhi udhar bhatakte hain, waadi waadi me daado tahseene sheri ke liae maare maare phirte hain.
Ausaafe hameeda aur akhlaaqe kareemana se marhoom muttasif the. Akhlaaq aap ka turra'ae imteyaaz tha. aek dusre se khush ru'ei aur khanda peshaani se pesh aate the. Akhlaqe hasana Wali Bhai ka wasfe aali tha.
Tamam insaano, musalmaano bil'khosus aalime deen ko amal ke saath saath khush akhlaaq bhi hona chahiae, keyon ke khush akhlaaq shakhs ko log mahboob rakhte hain. Uski kaamyaabi ka raaz khush akhlaaqi hai jis se dusron ke dil jeet sakta hai, uski baat bahot jaldi maan li jaati hai, jis se deeno insaaniyat ka faa'aedah hota hai.
Afsos sad afsos, aaj wo shaa'aeri aur akhlaaq, saadgi, tawaazo aur peyaaro mohabbat ka paikar na raha.
Khuda se be'haqqe 14 Maasumeen (صلوات الله و سلامه علیهم) doa hai ke wo ham ko akhlaaqe hasana ki taufeeq marhamat farmaa'ae aur bure akhlaaq se bachaa'ae.
Rabbul Izzat momenin ko aise Aalim ka behtareen nemal badal ata farmaa'ae, oun ke khidmaat ko sharafe qabooliyat ata farmaa'ae aur jumla a’eizza, aqraba, dosto ahbaab bil'khosus unki aulaad, ahfaad aur ahliya ko sabre jameel wa jazeel ki taufeeq de.
Shareek-e-Gham :
Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadim-e-edaara-e-darul Itrat, Hauza'ae eilmiya Qom Moqaddas, Iran
2 Shawwal 1446 Hijri Qamari